Saturday 24 September 2011

SAD SHAYARIS

Khushiyaan ek kahani ban ke reh gayi
milte milte yeh dooriyaan badti gayi
na jane kahaan gayi woh khilte huye mausam
dil mein ek parchhayi si chha gayi


Reet Hai Jane Kaisi Ye Zamane Ki......
Jo Saza Milti Hai Yahan Dil Lagane Ki......
Na Basana Kisi Ko Dil Me Itna.......
K Fir Dua Mangni Pade Use Bhulane Ki........


Nazar nazar ka ye rabte baham
na tere bas me na mere bas me
ye dono ka haseen sangam
na tere bas me na mere bas me


Tujhe bhoolna bhi chahoon to bhulaoon kaise..
Teri yaad se apna daaman chhudaoon kaise..
Meri har khushi, har muskaan mohtaaz hai teri..
Tujhko iska ehsaas dilaoon kaise..
Badal ke meri Zindagaani, tu mujhse juda jaye..
Tujhe kho dene ki kasak dil se mitaoon kaise..!!

Jee bhar ke roye to karar paaya
is daur me kisne saacha dost paaya
guzar rahi hai zindagi imtihano ke daur me
ek zakham bhara nahi ke dausra tayaar paaya


Shamsheer se teekhi teri aankhein lagti hain,
vaar karke jo reesh diye, uqoobat mein uski tarafte rahe,
shareen si teri baatein sunke, ishrat mein jeete rahe,
na gilla kiya kabhi dil_sitaan tere ne,
mudaam khushi jhalkaate rahe,
ishq na nibhaana aaya tujhe, hum gharq hokar bhi jeete rahe.


Ik dewaana, ik deewani, rehte hain alag, lekin ik hi hai kahaani,
mohabbat hai in dono ko, lekin kaam na ayee aj bhi jawaani,
milna chahe dono lekin, duniya ke zanjishon mein phase hue,
panchi ki tarhan udna chahe yeh, hava ke ik jharonke se,
yaad karte hain dono lekin, bina ik dusre ko dekhe hue,
khuda ke dargaah mein baithe hain aj haath jode hue,
ki ik dafa mila de khuda, aj zamaane ko rok de,
dil to mil chuke hai, nazron ko bhi mila de,
sapno mein usko dekha hai, aj soorat bhi dikha de,
dil nahi samajhta lekin, gharvaalon ko samjha de,
ik baar usse mila de, ik baar usse mila de,
har baar ye dua karte lekin, mulaaqat na hui kabhi bhi,
talaash rahe hain ik dooje ko dono abhi bhi,
dar hai inhe ik hi, ki mil paaenge ye kabhi bhi,
jawaani to dhal gayee thi, ab to maut bhi le gayee hume,
is janam to na mili, ab agle janam ka intezaar hai,
ye saat janmo ka bandhan nahi, ye sau janmo ka pyaar hai.


Mere hamnawa teri berukhi
dil-e-mubtila ki shikast hai
ise kis tarah main kahun fana
ye meri anaa ki shikast hai
Tu chala gaya mujhe chhodkar
maine phir bhi tujhko sadaaein di
mere humsafar tu ruka nahi
ye meri sada ki shikast hai

No comments:

Post a Comment